Nirbhayaa Hai Hum Poem by Brinda Mallik

Nirbhayaa Hai Hum

Rating: 5.0

Bhay-Bheet na ho tum
Bhay-Bheet na honge ab hum sab
Hum to kaheen na kaheen ek hai
Hum jo 'Aurat' hai....

Naam milenge tum ko, hun logoko
Inaam nahi, .
Zulm milenge tum ko, hum ko
Insaaf nahi,
' Nirbhayaa ', ' Daamini '... na jane kitne naam!
Bhay-Bheet nahi hai hum
Akhir bhay kis baat ki?
Nirbhayaa hai hum
Lootenge hum ko humari ijaazat ke bina
Beraham zulm ki chhekh aap kya aap sun payenge?
Nahayat Ala - aankhey bandh kar lijiye,
Kaan ko dono haatose daba kar rakhiye
Itne cheekhe sunkar aap ki zameer na cheer jaye!
Aap ki aankhonse lahu-luhan ashq na tapke!
Na insaaf hai, na hai insaaniyat!
Sirf awaz hai, dard hai, behisab dard hai,
Zakhm hai, gahari zakhm,
Koi nahi sunnewala Rooh ki pukar hai,
Dariya hai aansuon ki...
Usse ponchnewala koi haat nahi!

Bhay-Bheet kiyun hai hum?
Bhay-Bheet na honge hum...
Par ab ke baad ' Nirbhayaa' naam se na Svikaar honge hum
Hum to hum hai, naam hai, pahechan hai
Bys ab aur Naam na do
Do to bys ek hi cheez
bys INSAAF do....
Na do iss jhoota apman
Na do besh-bhoosha ki naqal gyan...
Do to bys ek hi marham
Aur woh hai Sachcha Insaaf
Na hi koi Naam.............

By Brinda © December,2015....

Dedicated to Ms. Jyoti Singh (Paramedical student who was brutally gang raped in Delhi 3 years before by 6 men and died also.. and for a girl 17 years old girl who was gang raped by 18 men while returning home from her tutorial home almost 3 years before in Kamduni Village in West Bengal, India and loads of rape victims in India.... By Brinda ©

Sunday, December 20, 2015
Topic(s) of this poem: pain
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success