Prakriti: Nature (Hindi) Poem by Veer Dhiman

Prakriti: Nature (Hindi)

Ishwar ki bhi kya rachna hai? kya akriti?
Hum prithvilok walon ko mili prakriti,

Prakriti hai toh jeevan hai,
Isi mein basa har van hai,
Har taraf bikhri hai hariyali,
Hum, tum or sabko bhane wali.

Ishwar ki bhi...
Hum prithvilok...

Aaj hai khatre mein yeh hariyali yeh prakriti,
Manushya hi bigaad raha hai ishwar ki akriti,
Prakriti ke hain dushman teen,
Panni, pouch or polyethene.

Ishwar ki bhi...
Hum prithvilok...

Raksha karni hai is prakriti ki humein,
Raksha karni hai ishwar ki akriti ki humein,
Roz ek ped lagayenge,
Jeevan ko harit banayenge.

Friday, September 16, 2016
Topic(s) of this poem: nature love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success