Prem Rog (Hindi) Poem by Jay P Narain

Prem Rog (Hindi)

priyatam ne poocha mujhse,
ki kya main chand se jayda pyari lagti hoon,
maine kaha apki kasam,
jab main apko dekhta hoon to main chand ko bhool jata hoon.

gul ne poocha gulshan se,
ki kya main is mehfil me bahar laati hoon,
gulshan ne di nazuk kaliyon ki duhai,
apki dilkash nazakat ko dekhkar main jannat ko bhool jata hoon.

maine apni mehbooba se poocha,
kya main apko apni nazron me kaid kar loon,
Mehbooba ne bari betakaluff se kaha,
kaid me tumhe ek nazar niharte main saari duniya ko bhool jaungi.

Kavi ne kavita se poocha,
kyon kavita me itni dard hoti hai,
kavita ki panktio ne gahri aah bhari,
kavi ke ankhon se bahte hue ansu galon se tapakna bhool gaye.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success