Pyar Ka Kanoon Poem by mithilesh yadav

Pyar Ka Kanoon

Tu intezar karna tera pyar sabit hoga
Mein aagaya to naseeb tumhara
Nhi aaya to mera sabr sabit hoga

Ye jamana hi aisa hogya hai ki sabko sabut chaiye
Mein pichey hata to bewafa
Tu pechey hata to bedard sabit hoga

Milney to dega nhi yehi niyam hai iska
Ye jamana kannon pyar ka likhta hai

Jati, dharm aur rishton ka khyal rkhana
Warna mere jajbaat nazayaz
Aur tera iqrar jurm sabit hoga

Accha hi hai ki tuney iqrarey mohabbat nhi ki aye soum
Tu mahan ho gya aapney andaaz sey
Mera pyar to bass ek chita ki rakh sabit hoga

Ummid aaj bhi jinda hai ki khuda ki jannat mein milunga
Tu pavitra hoga sabit jammaney key liye
Imaan mera tere samney pavitra sabit hoga ….

Friday, February 3, 2017
Topic(s) of this poem: love,love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success