Pyare Bachche Poem by sonali kumari

Pyare Bachche

Bachche yaha hai sabse pyare,
Unche niche kad wale,
Jinki aankhe hai roushan,
Sapne apne liye hazar,
Nanhe munhe sabse pyare,
Athakheliyo se hai ye bhare,
Kaliyo se hai ye khile,
Kal ke ye bhavishya nyare,
Khud se hi anjaan sare,
Nadaniyo se hai ye bhare,
Bhagwan se ye salone,
Sabse pyare inhe inke khiloune,
Bhole bhale surat wale,
Khud me hi rahte mast ye matwale,
Nazuk nazuk ye fulo se,
Rakhate matlab bas khelo se,
TAro se ye chamakne wale,
Hai ye dharati par ke tare,
Nadiyo ke bahne wale wego se,
Hai ye yuwa is pidhi ke,
Sidhi sadhi sirat wale,
Inke hatho hai kal-
Ke bhawishya uzagar.....

Sunday, April 10, 2016
Topic(s) of this poem: children
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success