Saamne Poem by Geetanjali patnaik

Saamne

Rating: 5.0


Beech agyat andhere me
Wo manzil dhund raha hai
Apni shikast se choor
Wo haqiqat kho chuka hai
Haar k tale
Nazron ko band kar
Be-umeed dhund raha hai
Na sahi ka gyaan hai
Bas nafrat kar raha hai
Dawa ki kya umeed wo khud ko kho raha hai
Naa haar ko apna saka
Naa rang nazar aa rahe
Bas vyang kar raha hai
Beech tanhai k ghere
Dil hai mera sath tere
Baitha hai koi beech
Dard-e-ghere
Samne mere samne mere.

Thursday, September 11, 2014
Topic(s) of this poem: hate
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success