Muflisi mai bhi yahan khud ko sambhale rakhna
Jeb khali ho magar hathon ko dale rakhna
...
Bade hunar se samete hain dar badar ke nuqoosh,
Bajaye paaon ke chehre pa hain safar ke nuqoosh.
...
Abhi aur garm-e-safar raho wahin fikre tashna laban ruke,
Jahan zindigi ka qayam ho, jahan rakhte abre rawan ruke.
...
Agar mai aasmaanon ki khabar rakhta nahi hota,
Ghubaar-e-pa-e-geti mera sarmaaya nahi hota.
...