Shahrah E Panjetaan (As) Poem by farhat zaidi

Shahrah E Panjetaan (As)

Inn par salaam bhe hai innhi pr darroud hai
Who rejjes hai jo ale mohammad se door hai

Enjeel mai bhae zekir hai touraiet mai bhae hai
Yeah who hain jinkay zekir ke shahid zabor hai

Saraa Quran middhat e ale rasool hai
kaffer samajh na mujh ko mera kea kasoor hai

Quraan mai hain saray ali dhound kar tou daikh
Pahchaan lay ga jisko zara bhe shaoor hai

Raheb nay daikha ak nahi panch panch hain
Tajjali ka jinki aikk gawah kohh e toour hai

Fiza se pouch kea hai kaneezi zaaika
Jjab se bani kaneez ajjab he saroor hai

Yeahi tou who seraat hai jo mustakeem hai
Yeahi panjetan hain jin pay khodda ko garrour hai

Janat bhe orr dhound lay gar inn se baeer hai
Shahrah e panjetan se tou guzarna zarror hai

Parwanay hum seraj e moneera kay hain Qamar
Roshan hain jin se sara jahan innka noor hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success