Sheher apna
Main paraya ho gya
Manzilon ki talaash main nikla tha
Jis bade sheher ki taraf
Aj usi ka reh kar ho gya
Jahan beeta tha bachpan sharaton main
Beech main apnon k pyar main
Aj wahin mehmaan ban k reh gya
Jahan ki har gali k nukkad par hazri roz lagti thi
Aj unhi galiyon nukkadon k lie naya ho gya
Jiski hawaon ki khushboo basi thi mujh main
Ab shehri kritrim itron ki khushboo ka ho gya
Main door hua apne sheher se
Ab mere sheher k lie pardesi ban gya
Sheher apna
Main paraya ho gya..
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
वर्तमान के यथार्थ से मिली पीड़ा को आपने मार्मिकता से अभिव्यक्त किया है. बहुत अच्छा. धन्यवाद. Manzilon ki talaash main nikla tha Jis bade sheher ki taraf Aj usi ka reh kar ho gya