Socho Agar Aisa Hota To Kaisa Hota Poem by imnt alive

Socho Agar Aisa Hota To Kaisa Hota

Socho agar aisa hota to kaisa hota
kisi cheez ka mol na hota
ye dil itna anmolo na hota
sapne sab sach hote is duniya mein
socho agar aisa hota to kaisa hota

na koi bada na koi chota hota
na koi apna na koi praya
na ameer na gareeb
na kahin dukho ka saya hota
socha agar aisa hota to kaisa hota

bachpan hota so so saal
umre hoti lakho saal
din dhalta apni marji se
jis din chahe baarsat hoti
school na hote col. na hote
daftar na hote kaam na hota
socho agar aisa hota to kaisa hota

nafrat na hoti takrar na hota
ishq na hota pyar na hota
apni marji se aate jate
kisi ko kisi ka inteezar na hota
socho agar aisa hota to kaisa hota

ye zameen na hoti aasman na hota
kisi cheez ka naam na hota
paisa na hota vayapar na hota
zindagi mein kabhi udhar na hota
socho agar aisa hota to kaisa hota

dil na hoti dhadhkan na hoti
saanse na hoti umeedien na hoti
na koi beemar hota
na kisi ko bukhar hota
socho agar aisa hota to kaisa hota

bhukh na hoti pyass na hoti
kisi ko kisi ki aas na hoti
waqt na hota
maut na hoti
socho agar aisa hota to kaisa hota

main na hota tum na hote
na ye zameen na aasman hota
soxho agar ye duniya na hoti
to kaisa hota
socho agar aisa hota to kaisa hota
socho agar aisa hota to kaisa hota
....................

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
imnt alive

imnt alive

jannat e hasin
Close
Error Success