Zindagi ke safar mai kyu yuhi
Koi tanha sa rah jata hai
Hote hai sab magar
Apne mai hi kyu sama sa jata hai
Kyu bhid mai bhi khud ko samete rahkar
Sabhi se judda rah jata hai
Na jane kya ahsas hai yah
Sabhi mai rahkar bhi
Sabhi se juda rah jata hai
Ban jata hai tanha ka sathi
Bus ussi ka hokar rah jata hai
Kah na pata jo baat kisi se
Tanhai mai khudi se kah jata hai
Tanhai har pal ek sathi sa
Judaw de jata hai
Ise ab kya kahe
Bus tanhaiyo ki galiyo mai
Jo andheri hai, par us ujale ki
Tarah jo diye ke tale hai
Jo khud jal kar oro ko ujala de jata hai
Ussi tarah mai bhi tanhai ke diye mai
Jalkar apne mann ko usi
Ujale mai le jata hu
Jaha na koi mughse judda ho
Bus mai hi hu
Or mera sathi tanhai
Tanhai jo mughe sukun de
De mughe mughse milne ka mauka
Jo kahi bhid mai kho sa gaya hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem