The Beauty Effect Of My Love On Nature Poem by Vishal Sharma 2

The Beauty Effect Of My Love On Nature

Mere hamnava, a mere hamsafar, tere sath ne ye kiya hai asar
rang chaht ka phoolon pe chadhne laga, khoobsurat ye sara sama ho gaya

in bageecho me kaliyan to pahle se thi,
band kaliyo ko khilne ki ek chah thi,
inki chahat ko anjam aise mila,
teri ek chuvan se ye khilne lagi

gahri jhilon me paani to pahle se tha,
thande pani ko machalne ki ek chah thi,
iski chahat ko anjam aise mila,
gir ke chahre pe tere machalne laga

pattharon ke gharonde the toote hue,
in pahado pe aise hi bhikhre hue,
tere haathon ne aisa jadu kiya,
toote gharonde jud ke sajne lage

in fijaon me khushboo to pahle se thi,
bheeni khushboo me mahkne ki ek chah thi,
iski chahat ko anjam aise mila,
teri khushboo me ghul kar ye mahkne lahi

dhalte suraj ko jaldi to pahle se thi,
dhalte dhalte nigahe jab tujh pe padi,
waqt to jaise fir thahar sa gaya,
sham dhalne me ab der hone lagi

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success