Tujme Bhi Kahin Aag Hai.. Poem by shamsher singh

Tujme Bhi Kahin Aag Hai..

Tujme bhi kahin aag hai

Aye musafir
Yoon mayus na baith
Ladkhate kadmon se hi chalna sikha tha tu
kas kamar Utha kaman
Ye samay ki pukar hai
Apne andar ki agni ko prajwalit kar
Kyunki Tujme bhi kahin aag hai
Mita vikaro ko
Apna Le sadguno ko
Lahoo se likh De tu bhi koi amar gata
Jeevan rupi samundar mein
Toot pe ban ek jwalamukhi
Math De chir sindhu ka
Aur nikal Le Amrit
Khuch jee Le
Khuch hans Le
Kabhi kalam chala Le
Aur waqt ki fariyad pe apni talwar ko Lahoo chakha Le
Ghutne tek De rahoon ke rode
Safalta ki seedhiyo pe chalta chal
Aur viswas Mann
Ek din manjil chumegi lalat
Aur khud zindagi lagayegi tilak
Qyunki Tujme bhi kahin aag hai

Saturday, February 7, 2015
Topic(s) of this poem: inspirational
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success