Virah Poem by Alok kumar Raju

Virah

Rating: 3.5


hriday vidarak virah mera tujhse.
tere bin priya main jee paunga kaise.
bandhi dor sanse priya mera tujhse,
tere bin main saanse le paunga kaise.
bin payal ki ghunghroo banunga main kaise,
tere bin priya main bajunga ab kaise.
bin diya ke ab bati banunga main kaise,
tere bin priya main jalunga ab kaise.
bin saawan ki ghata banunga main kaise,
tere bin priya main barsunga ab kaise.
bin shyam ki banshi banunga main kaise,
tere bin priya main bajunga ab kaise.
bin kavita kavi banunga main kaise,
tere bin main kavita rachunga ab kaise.

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
main is kavita ko apne agami kavya sangrah 'NIHSHABD'me sanklit kar raha hoon.pathakvrind padhkar mujhe nischit protsahit karne ki kripa kare.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Poems By Alok kumar Raju
Close
Error Success