Ye Tere Mere Raaste Poem by Mehak Sharma

Ye Tere Mere Raaste

Rating: 4.0

Ye tere mere raaste, mil jaayein khuda ke vaaste
Ke ghum ka saagar par ho, mere yaar pe mujhe aitbaar ho
Ke tu chale, toh main chalu, jo tu thame, toh main thamu
Tere har kadam se mera kadam mile, khushiyan mile ya ghum mile
Iraade hamesha apne nek ho, manzil bhi hamari ek ho
Ho ek apne raaste, ye tere mere raaste, mil jaayein khuda ke vaaste…

Chahe paas hon ya dur hon, dil se kabhi na mazboor hon
Rote rahe ya hanste rahe, tere dum se mera dum rahe
Ho rooh se kabhi na faasla, teri himmatein mere honsla
Teri dosti pe naaz rahe, tu mere sir ka taaj rahe
Ho mushkilon mein tere saath, tere haathon mera haath
Hon ek apni mushkilein, aur tere mere raaste, mil jaayein khuda ke vaaste…

Hai dastoor ye duniya ka, bichhadna khel kismat ka
Jise paaya, use khoya, jo vo khoya toh dil roya
Tu mil jaaye toh ghum jaaye, khuda hum pe reham barsaaye
Na door ho na majboor ho, tere ishq ka mujhpe noor ho
Ho pyaar se pyaar bhi, pyaar se takraar bhi
Par hon ek apne silsile, aur tere mere raaste, mil jaaye khuda ke vaaste

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Mehak Sharma

Mehak Sharma

Jalandhar
Close
Error Success