'Yog' Poem by MADS jain

'Yog'

YOG ka hamare jeevan me hai bhut mahtav,
Isse swastha hote hai hamare paancho tatva! !

subah subah lekar bhagwan ka naam,
chod kar apne sare kaam! !
Banao shareer swastha aur nirog,
mann laga kar karo YOG! !

Phle karte hai sukshm kriyayein hum,
isse hoti hai hamari akran jakran kam! !
Karo inka nit prati Abhyas,
Raho YOG k sada pas! !

Ab do apne kad par Dhyan,
Lo hatho aur panjo ko taan! !
Jitna ho sake utna thaam,
TAADASAN hai iska naam! !

Paer kholo hath uthao,
Dheere dheere prithvi k samanantar jukh jao! !
Flexible ho jaye kamar isse,
TRIKONASAN kehte h jise! !

Surya k tej se hota hai,
Hamari buddhi ka vikas! !
SURYANAMASKAAR karne se,
hota hai sabhi vikaro ka naash! !

Taan kar apne Haath aur paav,
Paero ko sir ki aur le jao! !
Sati bhujao ko wapas asan se lagao,
kehte hai isse asan NAAV! !

Agla asan JANUSIR,
Paer mod kar upar hath taano phir! !
kamar se jukhkar gutne par sir lagao,
kuch der ruk kar dheere dheere wapas aa jao! !

Hatho ko peeche le ja kar panjo ko milao,
shareer ko upar uthakar panjo ko asan se lagao! !
Ye h Janusir ka Upasan,
isse kehte hai KONASAN! !

Aedi panjo par baitho hatho ko rakhkar right,
Kisi bhi time karo day or night! !
Is asan me baith kar body ko do rest,
VAJRASAN karke khana karo Digest! !

Ghutne k bal khade hokar reedh se lagao anguthe,
Is prakaar peeche ki aur jhuko ki kamar do bhaago me batein! !
hatheiliyon ko aedi par lao iske anek laabh tum maano,
survical k dosh dur honge,
USHTRASAN ka mahtav tum jaano! !

Vajra me baitho haath uthakar,
dheere dheere neeche aao sir jhukakar! !
ye hai ushtra ka upasan,
isse kehte hai SHASHANKASAN! !

Haste haste khoon badhao,
thahake lagao lotpot ho jao! !
phir karke netrashuddhi kriyayein,
Aankhon ki roshni badhao! !

'Yog'
Friday, June 19, 2015
Topic(s) of this poem: national day
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
We MADS(Manisha, Alok, Deepti, Swati) together make poem on the occasion of International Yog Day 21st june. Our parents and Yoga teachers inspired us to write the poem.
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success