Zindgi Yahaan Hai Poem by Pratiksha Sonkar

Zindgi Yahaan Hai

Ek man ud jau kahin...
Ek man bandh jau kahin...
Kabhi chahat khule aasman ki,
Kabhi Khwahish ek pyare se jahaan ki.

Jane kaun si nayi dagar hai ye,
jaha sambhal ke chalne ki parwaah nahi...
Bikhare hain kachche khwaab kai is raaste pe,
Chal padi hu chun ne kuch sapne,
Badh rahi hu bun ne kuch sapne...

Khushiyo ki chhaya se chhanti hui umango ki dhup
Kahti hai mujhse ye ki Zindgi yahin hai,
hasti hui, khilkhilati hui,
Sharmati, Ithlati hui...

Phoolon ki muskan me hasti hai Zindgi,
os ki boondon me chamakti hai Zindgi,
Khwaab wo ek aisa hai
Jise socho to kho diya,
Jise jee lo to paa liya!

Saturday, May 31, 2014
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success