ROSHANALI MOMIN

ROSHANALI MOMIN Poems

--- RUTBA - E - MOMIN-----
...

Pusa maine karbala se kaun hai hussain.
Boli Karabala mera aka hai hussain

jiske ane se badal gayi fitrat meri
wahi nasle rasool hai hussain
...

The Best Poem Of ROSHANALI MOMIN

Rutba - E - Momin

--- RUTBA - E - MOMIN-----



kya batavu main rutba tera aye momin su le jara,

jiski labjo ki tarif hai tu jo ashiqe khuda(panjetan) hai


jisko mili ummat ki pehchan wo momin hai tu,

ali or rasul ke bando main ek shan hai tu


bad Rasul(A.S) or Ali(A.S) ke tu kehta raha ya hussain

ye soch ke khud khuda bhi bola ke tu ek momin hai


teri ansuo ki kadro kimmat kya batau main tumhe,

dekh liya maine ye martabah zahira ke zoli main


teri kom ki hai tarif, tu hi mohibe panjetan hai,

tu hai azadar e husaain hai aur momine Ali hai


bas is tarah basar kar apni jindi aye saks,

ke teri har adat pukare ke tu ek momin hai


tere sath hai khuda, aur rasul aur ali,

mar bhi jaye tum agar to bhi tu shahid hai


tera jalwa teri kismat or teri pehchan rahe,

jab talak tere dil main panjetan ki ita-at rahe


teri yahi hai fajilat aur rutabe banda hai tu,

jisko mili panjetan ki dua, wo khas banda hai tu


jis gar ki ye nuraniyat jo tum pe chhai hai,

dekh ke main bhi bola, yahi meri khwais(tobecome momin) hai






---- here the Words in this () bracket are only for
clarification. -----

ROSHANALI MOMIN Comments

ROSHANALI MOMIN Popularity

ROSHANALI MOMIN Popularity

Close
Error Success