Deepanshu Saini

Deepanshu Saini Poems

Tha mukaddar me jo mehboob
Husn, haya, mohabbat mein kar doob
Aaya nigah-e-dil k aage
Lekar sehar ki taajgi khoob
...

Khuli h aankhe meri, band sara jahaa(n) hai,

dard k is dariya me humdard jaane kahaan h,
...

Deepanshu Saini Biography

I am Mechanical Engineering Student from IIT Roorkee. I love to write and read all kind of poems with special attention to Urdu and Hindi poetry. Like most other poets, Mirza Ghalib is my all time favourite but I also closely follow the works of Munawwar Rana, Rahat Indori and Faiz.)

The Best Poem Of Deepanshu Saini

'Ek Mohabbat Hi Nahi Yeh Jindagi Kuch Or Bhi Hai'

Tha mukaddar me jo mehboob
Husn, haya, mohabbat mein kar doob
Aaya nigah-e-dil k aage
Lekar sehar ki taajgi khoob
Charcha chali thi uski ek jaalim hasi ki
Dil ki anjuman mein jo aa k bas gai thi
Darmiya ab hai nahi kuch, darmiya tab bhi nahi tha
Ye darmiya hai faslo ka wo najdeekiyo ka darmiya tha.

Imtihaan-e-ishq mein hum maat khaate chale gaye
Us bewafa ki jeet ko apni fatah btate chale gaye
Dafna diya har ek aansu job hi nikla aankh se
Khud ki mehfil mein khudi pe khud hi muskuraate chale gaye
Begum, mallika, heer, mumtaaj kya kaha kya na kaha
Dil k veeran mulk mein la k use jannat kaha
Haa mulaazim main bana par na aashiq ban saka
Ye toh main bhi maanta hun
Vo na jaane kya hua
Vo na mane kya hua
Ishq us taraf bhi tha
Ye toh main bhi jaanta hun.

Naagavaara tha mujhe uska nikaah tha jab hua
Dil ka kaafila shuru hone se pehle thum gaya
Chahto ki jung mein main tha tabhi peeche hata
Jo na mera ho ska wo tha kisi ka jab hua
Intekaal-e-mohabbat maine dil mein kar liya
Ek bechare dil ko apne nafrato se bhar liya
Haar kar main is kadar ghuma fira main darbadar
Na panah kahi mil saki fir mila maula ka ghar

Ek rab ne jab nakaara tab mila ek or rab
Mudne lagi thi jindagi kyu kaha kis or kab
Maine fariyaad ki-
Ae khuda mujhko khushi ki taaleem tu hi sikha de
Jo na sake tu khud sikha to madrase ka pta de
Muskura kar maula ne hidayat di-
Ek haseena hi nai hai misaal-e-husn yha or bhi hai
Ek mohabbat hi nahi ye jindagi kuch or bhi hai
Ishq kar zara khud se bhi jaan le zara khud ko bhi
Jaan lene k alawa raaste kai or bhi hai
Kar mukammal khwab khud k khwab jo tujhe raah de
Kar sake jo khush tujhe hata sake gumraah se.

Deepanshu Saini Comments

Deepanshu Saini Popularity

Deepanshu Saini Popularity

Close
Error Success