'Romance Of A Hindi Poet' Poem by Deepanshu Saini

'Romance Of A Hindi Poet'

Khuli h aankhe meri, band sara jahaa(n) hai,

dard k is dariya me humdard jaane kahaan h,

bhula du main jiske aage shakshiyat ko apni,

h koi aisa manjar, yakoi aisa samaa h? ?



Rooh se rooh mile humrooh ban pade hum,

thahar jaye wqt ho jb sath me khade hum,

aayna niharkar main jis se rubaru karu,

wo aisa aksmera, dildar aisa kahaan hai? ?



Ehsaas se hee apne madhosh kar sake jo,

nashe se apne mujhe behosh kar sake jo,

ho jiski chahaton par nisaar chahtein meri,

na hat sake nazar jaha deedar aisa kahaan hain? ?



Wo ho mera humsafar, wo hee mera mukaam ho,

wo ho na sath jisme, na aisa koi kaam ho,

wo chale toh main chalu, wo dhale toh main dhalu,

kya h itna hasee(n) , ya is kadar jawaa(n) hai?



Har ada jiski rahe sirf mere vaaste,

hum jaha chal pade ban jaye wo hi raaste,

chand sa safed nahi chand se safed wo,

sirf main jiski dawa, bimaar aisa kaha hai?

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Deepanshu Saini

Deepanshu Saini

Haryana
Close
Error Success