Dr.Sushila Gupta

Dr.Sushila Gupta Poems

kab tak karoge is dharti par,

nari ka tum yun apman?
...

Bahut kamjor hoon mai

tu muskurana chod de
...

Tumhi meri pooja

Tumhi meri bhakti
...

Aaj tume hotho se lagane ko

dil karata hai
...

Tamaam khyaal aate hain

unmen sirf tum hi
...



Kyun karte ho chah kisee ki
...

hey kripanidhaan; karuna ki khan,

tujhme hai adbhut; shakti-gyaan.
...

The Best Poem Of Dr.Sushila Gupta

Prashn

kab tak karoge is dharti par,

nari ka tum yun apman?

Kya gyat nahee! tumko manav?

Bal se hi banta balvaan.

Uski shakti se hi tum,

Bane hue ho shakti-maan.

Janani ke athak parisram se hi,

Prapt kiya yeh keerti-maan.

Nij raktsudha se sinchit kar,

Bana diya jisne mahan.

Usko hi abala sambodhit kar,

Mita rahe uski pahchan.

Mana kit um purush jati ho,

Par iska hai kyun abhimaan?

Purushatva tumara karm nahee,

Yah to srasti ka hai vidhan.

Isase avalambit hokar tum,

Kahate ho khud ko kyu mahan?

Kab tak karoge is dharti par,

Nari ka tum yun apma
( nari)

Dr.Sushila Gupta Comments

Dr.Sushila Gupta Popularity

Dr.Sushila Gupta Popularity

Close
Error Success