Na ab vo holi hoti hai..
Na ab vo diwali hoti..
Gavon ki galiyan bhi ab to bus khali-khali hoti hain..
...
Na tum mili na kuchh mila..
Mili to bus mujhe tanhaai..
Dhundhta rahaa tujhe galiyon me jahaa se tu kabhi gujri hogi..
Mahsoos karta raha tujhe dil me ki kash tujhe bhi meri yaad ayi hogi..
...
Gujar rahaa hai waqt tezi se jaise bullet train pe sawar hai..
Aur har gujarte waqt ke sath hume zindgi badlne ka intzar hai..
Khatm hoti ummiden aur mann me uljhane hazaar hain..
...
Na rahaa sikandar, Na wo Raaj Rahaa!
Na takht rahaa, na wo Taaj Rahaa! !
Agar kuchh rah gayaa es jahaan me to bus 'pyar ka wo alfaz rahaa! !
Dhah gayi bandishon ki wo deewaren..jinpe sadiyon tak jahaan ko Aitraz rahaa! ! Jisne suni dilon ki aawazen, Wahi sabka humraaz rahaa!
...
Gumsum lamho se thoda fursat nikalo
Gujare kal se nikalo aur ab ko tum paalo..
Dusre se chhodo ummiden aur khud hi khud ko sambhalo
Koi aayega aisi galatfahmi na paalo..
...
Haqikat door hai..aur bahaane banaa rahe hain..
Kya karen aur kya nahi ye bus sochte hi ja rahe hain!
Yojanaye hazaar hain, shuru karne ka intezar hai...
Kal karenge sochkar, aage badhate hi ja rahe hain
...