Aaj Marne Ka Mann Nahi Hai Poem by vijay pathak

Aaj Marne Ka Mann Nahi Hai

khul ke jeena seekh ke,
par na kisi ki bheekh se,
bekadron ke liye ab kuch karne ka mann nahi hai,
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

log kahte hain ki jeene ke hain chaar din baaki hain bekaar din,
aaj un chaar dino ko khul ke jeene ka mann nahi hai.
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

jeeyenge to un bekaar dino ko,
chodd denge uske liye un chaar dino ko,
faaltu ki bekaari ke liye bacha ab waqt nahi hai.
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

hamesha taiyaar the jinke liye mar mitne ko,
unhone kiya aisa kaam ki ab kuch kar guzarne ka mann nahi hai.
khaulte hue is dil ko ab thamne ka mann nahi hai.
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

girte-padte, ladte-jhagadte, kabhi choddte to kabhi pakadte,
un logon ko aaj sahne ka mann nahi hai.
unke gaalon pe bahte aansuon ko aaj pochne ka mann nahi hai.
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

bahut jee liya doosron ke liye,
ab aur jeene ka mann nahi hai,
chaar din doosron ke liye aur bekaar din khud ke liye ab unhe chodne ka mann nahi hai.
yaar aaj marne ka mann nahi hai.

is dil me ab koi harkat nahi hai,
yamdev bhi aaye aur kab jaayen''chal mere saath''.
to yahi roz kahunga ''aaj kahin chalne ka mann nahi hain''..
chodo na yaar aaj marne ka mann nahi hai...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 1
vijay pathak

vijay pathak

gorakhpur
Close
Error Success