Aankhen (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Aankhen (Hindi)

Tumhari aankhen, dekho kuch ishara karti hai,

Kabhi num hoke bechain karti hai,
Kabhi khilti hui khushi ka paigam deti hai,

Kabhi inme masumiyat ka aagaz hai,
Kabhi sharat ke ankahe bachpan ka bhas hai,

Kabhi sharmao to vo jhuk jati hai,
Kabhi jo aankh milao to band ho jati hai,

Kabhi fir krodh ke bhav me inka murjhana,
Kabhi fir itna pyaar dekh ke inka khiljana,

Kabhi inme mamta ka bhaav,
Kabhi tapti dhup me de ye pipal ki chaav,

Kabhi kisiko chup chup ke dekhna,
Kabhi kisiki nazaron se chup jana,

Kabhi inme khushi ke aasu hai,
To kabhi inme judai ka gum,

Kabhi inme kisika intezaar hai,
To kabhi kisiki betahan yaaden hai,

Kabhi ye din me taare ginti hai,
Kabhi fir raat me jaagti rahati hai,

Tumhari aankhen kisika jikra baar baar karti hai,
Ye jaanlo tumhari aankhen kisi ke dil pe prahaar karti hai,

Ki apni aankhon ko kajal ke daaman me chupaya na karo,
Kisiki parchai ko inme dabaya na na karo,

Are hum to aise he ghayal hai inhe dekh ke,
Iss bekarar dil pe yon bijliya giraya na karo.

Friday, May 8, 2015
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
For describing the eyes
COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 08 May 2015

Aapki Ghazal Kamaal ki hain Anish. Very true said... Are hum to aise he ghayal hai inhe dekh ke, Iss bekarar dil pe yon bijliya giraya na karo. A beautiful description of eyes. Loved the way you presented it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success