Anmol Rishta. (Hindi) Poem by Anish Chouhan

Anmol Rishta. (Hindi)



Unke pyaar ka ek chotasa izhaar kaafi hai,
Jindagi jine ke liye unki ek muskaan kaafi hai,
Unke aankhon me base hai ye kya kam hai,
Unke intezaae milne ki ek ummid kaafi hai.

Rah pe chalne ko unki raushani kaafi hai,
Amaavas ki raat me bhi unki ek jhalak kaafi hai,
Mohobaat ke safar me sambhal to jayenge,
Bus unki khubsurti ko niharne ke liye taaron ki barat kaafi hai.

Zindagi me unka bus ek saath kaafi hai,
Kaandhe par unka haath kaafi hai,
Fir door ho yaa paas fark nahi padta,
Anmol rishton ka to bus ehesaas hi kaafi hai.

COMMENTS OF THE POEM
Geetha Jayakumar 06 February 2014

Rishtey jab Anmol ho jaate hain to Bus unki yaad hi kaafi hai. Beautiful poem Anish. Really you penned it very well. Loved reading it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success