Alfaaz Mujhe Likhte Hai Poem by Ankit Vaghasiya

Alfaaz Mujhe Likhte Hai

Jab ASMAN ke panchhi mujhe rah bhatakte dikhte hai,
Tab mai Alfaaz nahi dosto, ALFAAZ mujhe likhte hai.
Jab dhup ke saye me kabhi koi masum hath jalata hai,
Garbh me palta shishu jab koi siski muje de jata hai,
Tab me Alfaz nahi dosto, ALFAAZ Muje likhte hai.
RangBeRangi Titli koi haiwan ke hatho masli jati hai,
Asman ki Chidiya bi jab pairo tale kuchli jati hai,
Tab gili kalam ki nok se kuchh akshar aa chipakte hai,
SHYAHI ki nadi se hote hue ve kagaj pe aa bidakte hai,
Tab Mai Alfaz nahi dosto, ALFAAZ mujhe likhte hai

Alfaaz Mujhe Likhte Hai
Tuesday, March 3, 2015
Topic(s) of this poem: Words
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Ankit Vaghasiya

Ankit Vaghasiya

vanthali
Close
Error Success