Angrezi Bhasha.... :) Poem by HEMANT KUMAR CHITRANS

Angrezi Bhasha.... :)

AAJ KAL ANGREZI BHASHA KA FASHION KUCHH ISS KADAR BADH CHUKA HAI ,
KI HAR BHARATIYA ANGREZO SE CHAAR KADAM AAGE BADH CHUKA HAI,
DHAKKA MUKKA KAR KE BUS ME CHADHNE WAALE LOG,
EXCUSE ME KAR K CHADH JAATE HAI.
GHAR ME KAAM KARNE WAALE NAUKAR GOOD MORNING SIR KEH KAR BADH JAATE HAI..
INN SAB ME ULAJHA HUA...
HO KE PARESHAN JAB MAIN GAAO ME AAYA..
TO MAINE EK AADMI SE PUCHHA..
KAHO BHAI GAAO ME SAB KAISA CHAL RAHA HAI.
TO VO BOLA..KUCHH NAHI SIRF RICE CUTTING KA KAAM CHAL RAHAA HAIA...
BECAUSE ATMOSPHERE KA KYA BHAROSA KABHI BHI BADAL JAAATA HAI..
MAIN USE DEKH KAR GHABRAAYA..
VO MUJHE DDEKH MUSKAAYA..
MAINE PUCHHA..
BHAI TUMH YE ANGREZI BHASHA KISNE SIKHAAYA..
TO VO BOLA ARE DUDE..
YE TO NATURALLY HI AAYA..

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success