Aramaan (Aramanon Ka Beopar Na Karana(Urdu Poetry) Poem by H. wafa Memon

Aramaan (Aramanon Ka Beopar Na Karana(Urdu Poetry)

Kabi be rabat to kabi baham thy jumly,
Kabi gufatgu main rawani to kabi tot’ty fekary,
Kabi ankhon main ansu to kabi aawaz main largerish
Kabi benhchy howy hont to kabi honton main jumbish,
Han! asan hy magr itna bhi nahi
Hal-e-dil ka sunana hy koi charcha to nahi,
Ynu Kisi NY khud KO ruswa na keya hoga
Dil ky wadon py dil ka soda na keya hoga
Gum KY fasalon ki aabeyari nahi hoti
Dil ky aramano ka beopar na keya hoga
Kabi deda-e-tar main janhka to keya bahla paya
Tum se bechahrny ka mosam hi samny aya
Maah-o-saal ka keya hy ye to guzar jaengy
Bus rahengy wo azab lamhy or ankhon main thehar jaengy
WAFA~ Ab ky aramano ka beopar na karana
Suno……. Tum jo aao to inatazar-e-bahar na karna
Han! Intazar-e-bahar na karana.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
H. wafa Memon

H. wafa Memon

Sindh pakistan
Close
Error Success