Bachpan Poem by Silky Jain

Bachpan

Rating: 4.0

Kya wo khushiyon bhara bachpan tha...
Jahan din rat sirf khelne hi khelna ka mann tha...

Kya chalta tha idhar udhar isse hum bekhabar the...
Apne doston ke masti bhare mausam me hum itne magn the...

Maa papa subah subah hume school ke liye jagate the...
unke jate hi hum fir se bistar me dubak jate the...

Chutti hone ke baad school ke bahar gappe marte the...
ghar tak cycle ki race me kabhi jeette to kabhi haarte the...

Ghar aa ke bhook bhook chillate the...
maa ke hath se bane khane ko bade chav se khate the...

Roz dopahar khelne jane ki zid hum karte the...
Maa ki daant kha kar rote rote aksar so jaate the...

Sham hote hi dost yar pukarte the...
jaldi ghar se nikal khela karte the...

padhai karne ke naam pe aansu baha karte the...
padh likh ke hi kuch banoge aisa bade kaha karte the...

choti choti baton pe behen bhai se ladte the...
fir usi bat pe ma se pit te the...

Barish me kagaz ki kashtiyan bahate the...
Daud daud kar titliya pakadte the...

garmi ke mausam me ice cream wala jab sadak pe awaz lagata tha...
dila do dila do keh hum dadi ke paas daud jate the...
dadi deti ek ek rupya thi..
usi se hum khilkhila uthte the...

Papa ghar ake jab paise diya karte the...
piggy bank me jama kar use roz roz ginte the...

na rone ki wajah chahiye thi na hasne ka bahana...
aisa khushnuma tha hamare bachpan ka zamana.....

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
While missing childhood days...
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success