Ek Ajnabee Mulaqat Poem by Silky Jain

Ek Ajnabee Mulaqat

Yu hi raah me chalte chalte ek ajnabee se mulaqat ho gai...
aanko hi aanko me jane ye kaisi baat ho gai...

Kya pata tha ye anjani mulaqat koi rishta banwayegi...
samay beet te us mulaqat ki gahrai samajh ayegi...

jab pawan ne apna rukh badalna shuru kiya...
ped ki shakhao ne jab phoolo ko apna aanchal diya...
jab sitare aur tezi se jagmagaye..
bhawro ne jab madhur geet gungunaye...

tab samajh ai us din us anjaan se milne ki paheli....
nai chahta tha khuda ki rahu mai akeli...

bheja tha us farishte ko thamne mera hath...
sath bheja paigam ki yehi hai wo jo nibhayege jeevan bhar tera sath...

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success