Barish Poem by Silky Jain

Barish

Ye baarish bhii aake humse kuch kehti hai...
Inki boondein chehre pe is kadar behti hai...
jaise kehna chahe humse ye baat...
panah do hume apne aanchal me bas ek raat...

Kaha se chal kar ye hum tak pahuchti hai...
isnke aagman se hi morniya thirakti hai...
itra itra kar ye chhat baagan naachti hai...
inke nritya se to baarish aur bhi sundar lagti hai...
sath dharti k gile maati ki karti khushbu se vayu mahakti hai...
Jab baarish ka paani dharti k mukh ko chumta hai..
iski saundhi saudhi mehek se mann jhoom uthta hai...
Aaa bhig chale is zor baarish me ye har bachche boodhe ka dil kehta hai...

Jab chhu kar badan ko baarish ki har boond guzarti hai...
najane kyu mann me ek leher si daudti hai...
kisi ehsas ko to ye wapas jagati hai...
kya pata ye kiski yad hume dilati hai..

wapas ayega wo waqt jab hum sath aisi hi baarish me bhige the...
baho me bahe dal hum gili sadko pe ghume the...
gili maati pe kadam k nishan bana k sath chale the..
baarish ka anand lete lete hum sath rehne ki dhun gungunate the...

COMMENTS OF THE POEM
Deepak Sawhney 05 August 2013

Beautiful...yet again. I am no connoisseur of hindi poetry, but certainly you do have a great power of expression. Well put forth...more so since it is 'baarish ka mausam' these days.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success