aaj charo taraf lut si machi hui
jo jaha jitna lut sake lut le na saja na gila na hi koi rok hai
nidar hai deshdrohi Bharat ka raja muk hai
katate hai sar javano ke sarhad pe chalati goliya ghush aate hai dushman desh mein kahte hai ye ab mera hua
roti hai janta desh ki Har kisi ko shok hai
nidar hai deshdrohi bharat ka raja muk hai
hote hai aksar hi damake saham uthti hai shahro ki galiyaa
maut ka maatam hai chhaya
aur dilli mein dawato ka daur hain
nidar hai deshdrohi bharat ka raja muk hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem