Bhartiyon Ko Nyay Poem by Rohan Bendre

Bhartiyon Ko Nyay

Rating: 5.0

Ek Ghatna Jo Mange Apka Sakriya Yogdan
Atyavshyak hai Apka Sakriya Rahna
Aikatrit Hokar Hogi Ekta ki Kalpana.
Hain yeh Durghatna Matra Krurta ki Misal.
Agva kiye gaye Bhartiyon ka hua bura hal
Atyavshyak hain teri Upasthiti
Tab badal sakegi Paristhiti
Na kar payi Bhartiya Sarkar Na hi Iraqi Sarkar
Parantu Apni Himmat Mat har
Tu Kya kar sakta hain iska kar Vichar
Aisi Durghatna Dohrai na Jaye iska rakh pura Khyal
Jab Log lenge Thos Kadam Itne Bhavya
Tab badlega Bhavishya
Matra tera Krodh takkar dene nahi hain Paryapt
Tab tak kar Prayatna jab tak Nyay nahi hota hain Prapt
Deke apne Vichar Rai Aivam Suzhav
Lao Badlav
Karke Is Vishay Main Batchit
Karo Jyada se Jyada Logon ko Parichit.
Samajik Upkarno ka karo Uchit Upyog
Tab Nyay se parichit hoga pratiyog
Uch Adhikariyon ko karo Patra Likhkar Suchit
Aur is prakar karo Drishya ko Nyay se parichit
Uchit Prakriya yeh drishya mangta hain
Unchalis Logon ki mrutyu ko drishya Nyay Mangta hain
Jab Shekdo ki tadat mein log nyay dene honge Upasthit
Tab Drishya hoga nyay se parichit.

ISIS NE KIYE 39AGVABHARTIYO KA KATL KE VIRUDH AWAZ UTHAIYE

Sunday, April 1, 2018
Topic(s) of this poem: human rights,justice,patriotic,unity
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 01 April 2018

विदेश की अनजान धरती पर स्वदेश में रहने वाले अपने परिवारजनों के निमित्त रोजगार करने गए उन निर्दोष लोगों की बदनसीबी पर हमारे दिल में विषाद की लहर दौड़ जाती है जिन्हें आईसिस के आतंकियों ने निर्ममता से क़त्ल कर दिया. ईश्वर शोकाकुल परिवारों को यह दुःख सहने की हिम्मत दे. सरकार भी ऐसे कदम उठाये जिससे ऐसी दुखद घटनाओं की पुनरावृत्ति न हो. आपने इस संपूर्ण घटनाक्रम को पूरी संजीदगी के साथ इस रचना में उतारा है. धन्यवाद, मित्र.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success