Chanakya Ki Satarkta-Aam Admi Ke Liye Ek Misal Poem by Rohan Bendre

Chanakya Ki Satarkta-Aam Admi Ke Liye Ek Misal



Samrat ChandraGupta Maurya Rajya Jit Rahe The. Chanakya ne Samrat ChandraGupta ke liye Ek Rajmahal Banaya. Chanakya ne Chandragupta maurya se kaha

'' Tumhari Veerta ka hai yah Ek Uphar
Is Brahman se krupaya karo Swikar.''

ChandraGupta ne Vinamrata se Uttar Diya

'' Yah Vijay hai matra Apka Margdarshan ka Parinam
Apke Sneh Evam Margadarshan ko mera Pranam.''

Chandragupta ne Uphar Ki prasansha karte huye kaha

'' AtiSundar hai yah Uphar
main ise avashya karunga Swikar.''


Chanakya Mahal mein Tahal rahe the unhone tehkhane ki taraf Chitiyon ki tarah hilne wali chij dekhi. Amartya Rakshas ne Samrat Chandragupta ki hatya hetu kuch Sipahi bheje the.

Chanakya ne Swayam se kaha

'' Yeh Chitiyon ki tarah Hulchul de rahi hain mujhe Sanket
Ho ja tu Sachet.''

Chanakya ne Punah Vichar kiya

'' Yadi Yah mahal ka hua hain kuch hi dino pahile Udghatan
In Chitiyon ki tarah halchal se vyatit hai mera man.

Samrat ki suraksha ke liye Samarprit hai mera man Sampurn
Yadi ise Andekha karu to hoga mera karya Apurna.''


Sabse Prathamikta Deni chahiye Samrat ki Suraksha
Atah Mahatvapurna kadam ki hai Shigrata

Chanakya ne tahkhane ko jalane ka adesh diya. Amartya Rakshas ke Sipahi mare gaye

Jis prakar Chanakya ki Satarkta ne ki Chandragupta maurya ki raksha

Uchit samay aya hai jab Samanya manav satark rehkar dega sakriya yogdan
Tab ek Surakshit desh hoga Ek Nischit Sthan.

Sunday, June 19, 2016
Topic(s) of this poem: history
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success