Dard To Nahi Hai Per Khushi Ka Ehsaas Nahi Hai Poem by Mayonaise ketchup

Dard To Nahi Hai Per Khushi Ka Ehsaas Nahi Hai

Rating: 5.0

Is zindagi ki her Manjil tujhpe aakar khatam hoti hai,
Mere her dard ka tu hi marham hoti hai;
Is zindagi ke her moad pe tera saath chaiye,
Meri her khushi mein tera haath chaiye;
Is zindagi ke her subah ka suraj tujhme dekhna chahta hu,
Meri her baat mein tera naam jodna chahta hu;
Is zindagi ki her raat ka Chand tujhe dekhna chahta hu,
Meri her chij se bhi mein sirf tera naam jodna chahta hu;
Is zindagi ka safar karna paar chahta hu,
Mere naam se mein tera naam jodna chahta hu;


Dard to nahi hai per khushi ka ehsaas nahi hai,
Baat sirf itni hai ki tu mere saath nahi hai;
Yunh to sab kuch hai mere pass chaiye jo zindagi se,
Kya karu inka mein jab meri zindagi hi mere saath nahi hai;
Jo bhi hai sab duniya ka ek dikhawa hai,
Sukoon jo de Mann ko woh sab knha hai;
Dard to nahi hai per khushi ka ehsaas nahi hai,
Baat sirf itni hai ki tu mere pass nahi hai;


Na koi taklif hai na kisi se koi sikayat hai,
Na koi khwaish hai na leni kisi se hidayat hai;
Na kisi se koi bair hai na kisi se panchayat,
Na koi Khwaab hai na pasand kisi ki likhawat,
Tu hi meri manzil tu hi bus kinara hai,
Tu hai toh sab hai yahi dil ko gawara hai;


Tujhe na paa sakne ka itna gum nahi hai,
Jitna ki tera hoke bhi na hone ka hai;
Dard to nahi hai per khushi ka ehsaas nahi hai,
Kya karu mein kyu tu mere pass nahi hai;


Kahogi tum ki saath to hum hai hi,
Is saath me wo saath wali Baat nahi nahi;
Kahogi tum kisiko paa Lena hi pyaar nahi hai,
Ye mein maan paau itni meri aukaat nahi hai;
Dard to nahi hai per khushi ka ehsaas nahi hai
Khushi meri jo hai wo mere saath nahi hai.

-Mahiyo

COMMENTS OF THE POEM

Beautiful poem of love and entreaty..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success