Dil Ki Tadap Poem by Shrini Deewana

Dil Ki Tadap



Har woh pal dil tadap utthi hai jab dilruba tujhse baatein nahin hoti,
Har woh pal aankhen bheeg jati hai jab tujhse mulaakatein nahin hoti,
Sochtha hoon ai dilruba mein tujhe yaad na karoon itna magar,
Kya karoon har saanson ke saath saath teri yaad bhi aa jaati hai.

Na jaane ai dilruba aisa kya jaadu kiya hai tune mujhpar,
Har pal lab mein tere naam ke siwa kuch bhi nahin aati hai,
Yun to apni zindagi jee raha hoon ai sanam mein magar,
Tere siwa ek pal bhi jeene mein koi raas nahin aati hai.

Apne dil ki tadap mein tujhe kaise samjhaoon sanam,
Apne dil ka dard mein tujhe kaise bataoon sanam,
Sochthi ho tum karta hoon bahut pareshaan mein tum ko magar,
Kya beet thi hai mere dil mein yeh tumhein kaise dikhaoon sanam.

Tum jo kahogi to mein jaan bhi luta doonga tere khaatir,
Mein kar doon kuch bhi kurbaan tere ek khushi ke khaatir,
Hothon par tera sada muskaan rahe ai mere sanam,
Aur bhoolna nahin har kadam mein hoon mein tumahare saath sanam.

Shrini 'Deewana'

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success