Ek Shikayat-Ek Natak Poem by Rohan Bendre

Ek Shikayat-Ek Natak

Rating: 5.0

Ek Nanhi Ladki Marg Bhul Jati Hain.

Ek Manushya Use Kehta Hain.

'' Kya Samasya Hain Apko
Kis Baat se ho Pareshan
Kya main Kar Sakta Hoon Apke Samasya Ka Samadhan.''

Nanhi Ladki Boli.

'' Khel Rahi Thi Saheliyon Ke Sang
Parantu Marg Tha Aparachit
Atah Kho Gaya Hain Marg Kadachit.''

Manushya Ne Kaha.

'' Yadi Apke NivasStan Ka Pata hain Apko Gyat
Apko Apne Nivas Sthan Pahuchane mein kar Sakta hoon Sahayta.''


Manushya ne kaha.

'' Parantu Uske Liye Nivas Sthan ka Pata Gyat hone ki hain Avashyakta.''


Nanhi Ladki Boli.

'' Muzhe mere Nivas Sthan Pahuchane main Avashya Prapt Hogi Safalta
Parantu Mujhe Apki Aur Chahiye Sahayta.''

Manushya Bola.

'' Kya Main Kar Sakta hoon Apki Pet Puja ka kar sakta hoon Samadhan
Athva Koi Khilona hain apki Mang
Apki Seva Karne ka Karo Avsar Pradan.''

Nanhi Ladki Boli.

'' Na Khilone Ki Mang
Na Pet Puja
Mujhe to Chahiye Apka Sakriya Yogdan.
Kuch Is Prakar ki un Apradhiyon ko mile unka uchit Sthan.''

Manushya Bola.

'' Apke Kathan Ka Dijiye Aur Adhik Vishleshan
Yadi Meri Sahayta Mangta hain yeh Shan.''

Nanhi Ladki Boli.

'' Us Nanhi si jaan par huye Bhadde Atyachar
Parantu use Nyay dilane ke aye nahi Samachar.''
Manushya Bola.

'' Atyavshyak Hain Is Mamle mein Ekjutta
Us Nanhi Ladki ke Gunehgaro ko Dandit karne mein Dikhaiye Shigrata.''

Nanhi Ladki Boli.

'' Karo Samajik Upkarno ka Dat karUpyog
Is Prakar Nyay Dilane mein karo Sahyog.''

Manushya Bola.

'' Karo Nanhe Balako ko Aise Logon se ladne mein Prashikshit
Tab Nyay se hoga Drishya Parichit.''


Nanhi Ladki Boli.


'' Jab Kai Log Karenge is ghatna ke sambandh mein Sambhashan
Tab Nyay se parichit hoga Shan.''

Manushya Bola.

'' Jab Bhi Aise Drushya se hoge Parichit
Sadaiv Adhikariyon ko satark kar karo Sahkarya uchit.''

Nanhi Ladki boli.

'' Deke Apne Vichar tatha Suzhav
Lao Badlav.''


Dono Bole.

'' Jab Drishya mein hogi Ekta
Tab Un Krur Logon ko dand dena hogi Ek Shakyata.''


KASHMIR MEIN 8 SAAL KI BACCHI PAR BALATKAR KARNE WALE LOGON KO KARO
KATHOR DANDIT

Saturday, April 14, 2018
Topic(s) of this poem: child abuse,justice,play
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 14 April 2018

A very poignant poem prompted by the dastardly act of rape and murder of an 8 year old girl in Kathua (J&K) . It unfolds the basic points through dialogue and comes close to how the problem can be tackled once and for all. I think an impartial inquiry and filing of charge-sheet against the culprits (whoever they might be) on an urgent basis will be needed for their exemplary punishment. Thanks a lot for this timely write.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success