For Mother Earth Poem by R.K.S. Yadav

For Mother Earth

Aaj dhara ke liye uthenge haanth humare,
Aao milkar poore karlen apne sapne saare,
Dharti maa ki khatir aaj chalen hum,
Hare bhare vrakshon se pyaar kare hum,
Kya bhool gaye iski mamta aur pyaar ko,
Pal pal baant rahi jo khushiyan is poore snsaar ko,
Dharti maa ko aaj bachane humen nikalna hoga,
Varna din voh door nahin jeevan ka naam na hoga.
Kaat vraksh jo aaj rahe hain unse ladna hoga,
Dharti maa ki khatir apna khoon vahana hoga.
Maa ko nonch rahe beton se humen aaj hai ladna,
Maa ko nanga kar denge ek din yeh paapi varna.
Maa ka aanchal khushiyon se aaj humen hai bharna,
Hara bhara kar den isko hai aaj humara sapna,
Dinosaur ban jayega insaan ek din varna......Rahi

This is a translation of the poem Dhara Ke Liye by R.K.S. Yadav
Saturday, May 14, 2016
Topic(s) of this poem: poem
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 14 May 2016

aao milkar poore karen sapne.. fine..

0 0 Reply
R.K.S. Yadav

R.K.S. Yadav

Bareilly (U.P.)
Close
Error Success