Ganesh Ji Ka Yogdan-Ek Natak Poem by Rohan Bendre

Ganesh Ji Ka Yogdan-Ek Natak

Ganpati Bappa Ne VidyarthiniSe Kaha.

'' Apki Shiksha Ki Yatra Ho Safaltapurvak
Kai Khitab Prapt Ho Kal Tak.''


Vidyarthini ne Dhanyavad Karte Huye Kaha.

'' Apke Ashirvad Dene Ke Liye Hoon Main Abhari
Kadi Mehnat Se Prapt Karungi Safalta Sari.''


Ganpati Bappa Ne Kaha.


'' Yadi Aur KoiVar Mangne Ki Hain Abhilasha
Tumhe Var Dene mein nahi Karunga Nirasha.''


Vidyarthini Ne Chintit Swar Mein Kaha.

'' Kai Kirtimaan Rachne Mein Hain Muzhmein Sakshamta
Parantu Is Ghatna Ke Virudh Thos Kadam Ki Hain Avashyakhta.''


Ganpati Bappane Prashna Bhare Swar Mein Kaha.

'' Apke Kathan Ka Avashyak Hain Vishleshan
Yadi Meri Sahayta Mangta hain Shan.''


Vidyarthini Ne Kaha.

'' Padhai Mein Kadi Mehnat karke Liya Avval Sthan
Parantu Us Vidyarthini ke Sath Balatkar Karke Badi Kutilta ke Sath kar gaye woh Apradhi prasthan.''


Ganpati Bappa Krodhit Huye.

'' Aur Is Vishay mein Kyun hain Stabhdata
Is Ghatna ke virudh Kathor Kadam lene ki hain Atyavashyakta.''


Vidyarthini Ne Kaha.

'' He Bappa Karo mera is vishay mein ucchit Margdarshan
Ki Nyay Se Parichit ho yeh Shan.''


Ganpati Bappa ne Kaha.

'' Manav ka Satark Rehne ki hain vishesh Avashyakta
Jab Satark rehne mein Log dikhhayenge Shigrata
Tab Uddesh main hogi Spasthata.''


Vidyarthini Boli.

'' Samajik Upkarno ka kare dat kar Upyog
Is prakar nyay dilane mein kare Sahyog.''


Ganpati Bappa bole.

'' Jab bhi Aisi Ghatna hogi tumhare netro ke samaksh Ghatit
Nyay dilane hetu karo Police ko suchit.''


Vidyarthini ne kaha.

'' Jab bhi tumhare samaksh hogi aisi Ghatna
Logon ko Ekatha kar karo aisi ghatna ghatit hone se roko yeh sambhavna.''


Ganpati Bappa ne kaha.

'' Sadaiv Sachet rehna hain Mahatvapurna Bhag
Deke Apna Sakriya Yogdan kar us Vidyarthini ko nyay pradan.''


Vidyarthini ne kaha.

'' Ek Dal Banakar karo is vishay mein gehra Sambhashan
Is prakar un gunehgaro ko dandit karne ka lo prun.''


Dono Ne kaha.

'' Us Ghatna ke virudh Swar uthana hain Atyant Mahatvapurna
Karke apna sakriya Yogdaan Karo un Krur Logon ka ant Sampurna.''



HARYANA MEIN DASVI KI VIDYARTHINI JO YOGYATA KRAM SUCHI MEIN AYI THI
USKE SATH BALATKAR KARNE WALE GUNEHGARO KO KATHOR DANDIT KARNE
MEIN SAHAYTA KARE.

Sunday, September 16, 2018
Topic(s) of this poem: justice,play,unity
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success