Ghazal Poem by M sayeed akhtar

Ghazal

Rating: 5.0

aankho ko mayassar wo nazaara nahi hota
kya baat hai deedar tumhara nahi hota

kya meri mohabbat me kami hai mere yaa rab
kyu meri taraf unka ishaara nahi hota

dil ki tamaam hasratein mar jaati tadap kar
tumne jo mahobbat se pukara nahi hota

manzil pe pahuchti nahi muflis ki mahobbat
tooti huyee kashti ka kinaara nahi hota

akhtar se mulaaqaat ka hota na silsila
ye dil agar khulus ka mara nahi hota

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
kisi ko yaad karte huye, tanhaayee ke lamho me kagaz ke jism par chand alfazo ki lakeerein khenchi aur ye shakl ronuma huyee jise main GHAZAL kaheta hoon.
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 15 November 2015

Wah wah Kya baat hai....

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success