Hindi Poem- Jang-A-Maidan Poem by Rajendra Singh Rathore

Hindi Poem- Jang-A-Maidan

Jang-A-Maidan Ho khade, Khoon Ka katra-Katra Tol Diya Tha,
jakham Hue Dil-A-jaan ko, Paida Hone Ka Mol Diya Tha.

Tha Andhere ka Aagosh, Sahma Dushaman Bhi Tha,
Chod Gaya Tha Ruh, Sathi Ke Jane Ka Gum Bhi Tha.

Aandhi Thi Tufan Tha, Hath Ek Me Banduk Ek Me Jakham Bhi Tha,
Shoole The Dil Me, Angaron Ka Sang Bhi Tha.

Dushman The Kaafi, Bachi Ab na Koi Goli Thi,
Sahme The Dushman Sare, Kyoki Jajbaton Ki Boli Thi.

Dekha Aankhon Se Dushman, Ruh Sulg Gaya,
Dar Kadam Bada, Sher-A-hindustan Tha Nigal Gaya.

Jang-A-Maidan Ki Dastan Kisi Or Ki Nahi Balki
Unhi Vatan Ki Hifajat Karne Walo Ki Hai Jo Ki...

Sarfroshi Ki Tamanna Kar, bandh Liye Kafan Sar Se,
jaan hatheli Par Rakhkar Khele, Rahega Didar Hume Arse-Arse.

Sunday, February 23, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Hum Sukragujar hai Un Sab Vatan Ke Rakhwalo Ke Jinki Sahadat Ne Vatan ko Sukoon Or Chain Se Rahna Sikhaya.
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 23 February 2014

chain se rahta sikha, good one, thanks.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Rajendra Singh Rathore

Rajendra Singh Rathore

Jaipur, Rajasthan, India
Close
Error Success