kal se hum in galiyon me na aa payenge
maaf kar dena hume jo sari vafaaye bhul jayenge!
Akshar mai baithkar kinare,
gumsum laharo ko nihara karta tha.
aaj ek jhoke ne tod di meri duniya,
gum hai hamare mohale viraan ho jayenge.
akshar hum gum me dub jate the.
kabhi pass baith kar khushiya mante the,
vaade, kasme, vafaa sab hum tod rahe hai,
kartavya ki pratibadhata bhi bhul jayenge.
akshar meri chahat me khushiya thi,
pass baith kar chay ki chuskiya thi.
kya pata apane bhi begana kahe hume mahfilon me,
kuonki ab gazal to kya aashu bhi na bha payenge.
akshar sochta hu sukriya kaise adaa karu aapka,
sabad duvaye, kam pad jate hai aabhar jatane ko.
dil se dua maafi ki aasha rakhata hu,
ab hum sab kuch chod bahut dur chale jayenge.
gar chaha khuda ne aap se milana fir hume,
hamare hisse ki khushiya aap ke liye maang layenge.
kal se hum in galiyon me na aa p[ayenge,
maaf kar dena hume jo sari vafaaye bhul jayenge.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
bahat khub badiya hai ++1++