Hindi Poem- Insha Tera Vajud Kya Poem by Rajendra Singh Rathore

Hindi Poem- Insha Tera Vajud Kya

Rating: 5.0


Insha tera vajood kya, chand kshano me chut jaye,
kacchi dor se bandhi haijindgi ruh se jane kab tut jaye.
Banaye tere ye gharonde kanch ke jane kab tut jaye,
bana kar rakhana apana kisi ko yohi na sanse tut jaye,

Aaya hai is duniya me to koi esha kaam kar,
bana kar apana tod use phir us par abhiman kar.
Tor de kuch lakdiya ya kabra kafan ka intjam kar,
Gar soch liya kaafi hai to chahe aaram kar.

Bana hai is mitti ka to kyo dar jaye,
Juban na hai teri wo jo kahe or mukur jaye.
Thani hai jang to sis kate ya mar jaye,
yaha kaam hai himmatwalo ka na ho to ghar jaye.

Rar than li jab ki itihas likhunga koi,
Dubte ko bachane ka aadhar likhunga koi.
Nitant bhay se paar likhunga koi,
mere hi sapno ki hakkikat ka saar likhunga koi.

Thursday, June 23, 2016
Topic(s) of this poem: motivational
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Rajendra Singh Rathore

Rajendra Singh Rathore

Jaipur, Rajasthan, India
Close
Error Success