Ishq Poem by Nadia umber Lodhi

Ishq

Rating: 5.0

ishq ki koi tafsir thi hi nahin
waste mere taqdir thi hi nahin
kis liye ho ke majbur tum aae ho
beach donon ke zanjir thi hi nahin
aalam-e-rang-o-bu ko sajaya gaya
is tamashe mein taqsir thi hi nahin
tere darshan ko aankhen tarasti rahin
khana-e-dil mein taswir thi hi nahin
us ko 'amabar' ghasita gaya tha yunhi
ranjhe ke waste hir thi hi nahin

Friday, June 22, 2018
Topic(s) of this poem: lyrics
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 02 November 2018

What a beautiful ghazal, really a wonderful poem.

0 0 Reply
Sitara Bano 03 October 2018

Beautiful nice and lovely poem

0 0 Reply
Nida Fatima 12 July 2018

Great poetry great verses

5 0 Reply
Usman shah 12 July 2018

Nice feelings in short manner of classical ghazal style

5 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success