Mera bhi hai tiranga jaisey tera hai....
Mein bhukha Sahi, akela Sahi
Mera bhi hai mela jaisey tera hai...
Jo khadi ki kafan mein gad diya dil tuney....
Us dil key Kisi koney mein...hai Jo tiranga...
Wo mera bhi hai....
Mujhey bass rang mein hi bant diya...
Jaisey basanti, safed aur hara.....
Inkey Milan sey Jo bant a hai wo mera bhi hai...
Ye tiranga jitna hai tera utna mera bhi hai....
Ye meri kafan pey Na liptey na sahi...
Tera Bhagya ho bada to bada sahi.....
Tu imandar hoga Sayed par iman mera bhi hai...
Ye jitna tera hai utna mera bhi hai.....
Aaj mera din hai.. mere desh mein.....
Har din bhi to mera hai, tu manta kun nhi hai..
Wo panch saal pehaley wala tu panch saal Baad bhi waisa hi hoga...
Bich mein tut rha hai Jo nirantar wo mera desh hai.....
Haar bhaut parakhta hun tujhey... Par dhokha ho hi jata hai...
Tum ram sa aata hai rawan ho hi jata hai..
Mere aansu sukhtey sukhtey beh hi jata hai..
Jaisa hai tu insaan, insaniyat mujhmey bhi hai...
Jaisey hai tiranga tera waisey mera bhi hai....
Jai gantantra, Jai Bharat
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem