Jane Kyun Phir Maine Khudkushi Ki.. Poem by abhilasha bhatt

Jane Kyun Phir Maine Khudkushi Ki..

Zindagi ko aur jee sakta tha main
Maa k ansoo ponch sakta tha main
Baba ka sahara ban sakta tha main
Choti behen ko aur pyar desakta tha main
Sabke sapne pure kar sakta tha main
Shuru se zindagi shuru kar sakta tha main
Naye raaston par chal sakta tha main
Nai unchaiyon ko paa sakta tha main
Khushi se chahat se zindagi bita sakta tha main
Jane kyun phir maine khudkushi ki
Us k lie jise mere pyar ki parvah na thi
Us k lie jise mere jazbato ki kadr na thi
Us k lie jisne mujhe khudkushi k mod par lakar khada kia
Us k lie jisne ek zindadil ko zindagi se nafrat karna sikhaya
Us k lie jine mujhe aur mere pyar ko beizzat kia bhare bazaar main sabke saamne kisi aur k lie
Ek aisi ladki k lie…
Jane kyun phir maine khudkushi ki
Kyun maa ka dulaar main bhool gya
Kyun baba ka saath aur hath kam pad gya
Kyun choti nanhi behen ka pyar main bhool gya
Kaash keh deta maa baba ko
Ki mujhe aisi ladki se pyar hai jo mere pyar ko mazak samajhti hai mere jazbaat ka..
Mujhe ab jeene ki wajah nhi pata
Mujhe kuch nhi samajh main ata
Baba phir mujhe chalna sikhate zindagi k raaste par
Maa meri aur himmat badati mujhe aur dukarkar
Choti aur mujhe prerna deti jeene k lie apni dhudh si sufed muskaan dekar..
Meri rooh aj ro rahi hai
Tadap rahi hai
Kudh ko kos rahi hai
Aur keh rahi hai
Jane kyun phir maine khudkushi ki….

Thursday, December 3, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 02 March 2016

You are a poet of true emotions Abhilasha.. Simple, honest, innocent, and pure.. There's a pure innocence in your verse, that just expresses the emotions.. You write right from the heart and touch the hearts of your readers.. Well done on this one..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success