Kavi Aage Aao Poem by mahender Talwara

Kavi Aage Aao

Utho kavi utho,
Khub garjo aur bars jao,
Sukhi sanrkritiyon ko hara bnao,
Khuchh naya dene ke liye
Kavi aage aao, kavi aage aao
Sahi raste ki pahchan krane,
So rhe jajbat jgane,
Bhatke hue ko rah dikhane,
Chamak rhe suraj ki bhanti
Samne ujiaara felao
Khuchh naya dene ke liye
Kavi aage aao, kavi aage aao
Budhi ko apni vistrit kr,
Gyan sanchay jiwan me bhar,
Kanyi ki kalam se
Kore kagaj ke kone per
Koi karnama kr dikhao
Kuchh naya dene k liye kavi
Aage aao, kavi aage aao

Wednesday, September 14, 2016
Topic(s) of this poem: poet
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
mahender Talwara

mahender Talwara

talwara khurd, teh. Ellenabad
Close
Error Success