Khamooshi Poem by vishal angel sharma

Khamooshi

Meri khamooshi mujsai kuch kehti hai
Mujsai baatai krti hai
Wo mere andr rehti hai.

Meri khamooshi kuch khas hai
Ye thodi Gumsum rehti hai
Ismai ek ehsaas hai

Meri khamooshi Meri kamzori nahi hai
Mai sabko iska matlab samzaoon
Ye bhi tho zaroori nahi hai.
Meri khamooshi kuch pl ki hoti hai,
Ye jada tr raat mai jagti hai or din Mai soti hai.

Meri khamooshi Mera saya hai
Iskai chaltai hi Maine Jana hai Kon apna Kon paraya hai.

Meri khamooshi dekh aksr log roo detai Hain
Kuch mere kareeb ho jatai Hain
Kuch muje kho detai Hain.

Meri khamooshi baki sbsai Jada acchi hai
Apno se jada sacchi hai
Ye juthai wadai nahi krti logo se
Ye Dil ki saff hai ek masoom bacchi hai.

Khamooshi
Sunday, April 15, 2018
Topic(s) of this poem: sad
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success