Khula Dareecha - Open Window Poem by Farzana akhtar

Khula Dareecha - Open Window

Zara Si deir Yahan Roshni Uterne Do
Zara Si Deir Meri Saas Ko Mehekne Do
Khushi Ki Jout Liye Sansanati Purwaee
Palak Palak Pe Meri Khwab Tankney Aee
Zara Badan Mein Koi Roshni Si Bhar Jaaye
Aur Is Se Pehle Ke Ye Chandni Bikher Jaaye
Zara Charagh Ko Dheema Sa Geet Gaaney Do
Kisi Umeed Ka Paani Naddi Mein Behne Do
Kisi Ke Aaney Ki rehne Do Aas Pehlo Mein
Mujhe Khaber Hai saweron se Ujla Ye Manzar
Mere Gulaabon Ko Sehra Ki Reit Ki Jaanib
Shabon Ki Neeli Udaasi Ke Rang Pehna Ker
Subuk-rawi Se Judaa Raaston Pe Bhejey Ga
Us Eik Pal Hi Mere Chehre Ki Udaasi Per
Kahani-Kaar Ne Mushtaq Gehri Nazron Se
Merey Sarapaa Mein Gum Hokey Muskura Ke Kaha
Zara Si Deir Dareecha Khula Hi Rehne Do
Zara Si Deir ….
Dareecha Khula Hi Rehne Do.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success