Alherr Khushbo Poem by Farzana akhtar

Alherr Khushbo

Rating: 5.0


Mohabbat Hai Kaee Masoom Rangon Se Bani Tittli
Jisey Choo Ker Mein Koray Kaanch Ki Man-nind Pighli Hon
Khushi Ke Rang Ko Choo Ker
Haya Se Surkh Rehti Hai
Khizaan Ki Zard Shaakhon Ko
Bohut Si Sabz Pariyoon Ke
Paron Ka Roop Deti Hai
Barri Hi Dhunn Ki Pakki Hai
Mehektay Sandaleen Jungle Ki Meethi Loriyaan Sun Ker
Jabeen-e-Shauq Per Likh Deti Hai, Us Ajnabi Ka Naam
Dukhon Ke Pur-azeeyat Raastey Jo Morr Deta Hai
Samunder-Kheiz Thandak
Rooh Ke Pyaley Mein Bharta Hai
Pyaase Panchiyon Ki Pyaas Ko Masloob Karta Hai
Achanak Dil Ke Weerane Mein Ik Alherr Naee Khushbo
Bohut Chup Chaap Aati Hai.

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 20 September 2014

Itni khoobsoorat nazm! Dil ki gahraiyon mein utar gai.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success